Thursday, December 8, 2011

Ghabraye Gi Zainab (Lyrics)

Ghabraye Gi Zainab (S.A)
Ghabraey Gi Zainab
Bhaiya tumhain ghar ja k Kahan paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Kaisa ye bhara ghar hua barbad Ilahi
Kya aai tabahi
Ab iss ko na abaad Kabhi paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Ghar Ja k kisay dekhe gi Qasim (A.S.) hain na Abbas (A.S.)
Akbar (A.S.) se bhi hai aas
Apne Ali Asghar (A.S.) ko Kahan paey hi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Poochain ge jo sab log K bazu pe hua kya
Ye neel hai kesa? Kis kis ko nishan rassi k Dikhlaey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Phhat jaey ga Bas dekh k he Ghar ko kaleja
Yaad aao ge bhaiya Dil dhoonde ga tum ko To kahan paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Bin beton k kehlai To kehlai main lekin
Ye kaise ho mumkin
Bin bhaiya ke kehlayi toh Marjayegi Zainab
Ghabraey Gi Zainab

Be parda hui Qaid bhi kha harm uthhai
Aur maut na aai
Kya jaaniye kya kya abhi Dukh paey gi Zainab
Ghabraey Gi Zainab (S.A)


....... This Noha is read by Nisar Jahan. You must have been hearing it since your childhood. The original reading by respected Nisar Jahan was not very clear due to audio quality but I have added lyrics here that everyone can read whats being read by Nisar Jahan. Please do pray for me and may Allah bless humanity.
x
x